Zeus (Inspired by friend's dog, who had to be dropped at a common friend's place for few hours)
Mein akela is bheerh mein
tera ehsaas dhoondata hoon
is mudmast
shaam mein maitera ehsaas dhoondata hoon
meri maa dhoondata hoon
is bheerh se
nahi anjaan
sabhi to
hein azeez teremein maanoon ya na maanoon
samajhta hoon, wo bhi hein mere
par tu jo
hai
wo toohi ho
sakti haimein jo na chahoon bhi
tujhpe hi aas atki hai
tere azeezon
ke kadmon mein
teri aahath
dhoondata hoonis mudmast shaam mein mai
meri maa dhoondata hoon
kya naraaz
thi tu mujhse?
jo chorh gaee akelakya wajah rahi hogi
aakhir, khushi ki hai bela
shaayad na
chahte bhi
jaana tujhe
parhaa haiaaegi jab bhi tu maa
tera das yoon hi kharha hai
is shor
kautuhal mein
teri aawaz
dhoondata hoonis mudmast shaam mein mai
meri maa dhoondata hoon
darta hai
dil ye mera
na kaheen tu
bhool jaeho raha aur andhera
gheren barhe dar ke saae
par jaanta
hoon mein bhi
tu sab
jaanti haimere bolne se Pehle
sab pehchaanti hai
isee
kashmakash mein
tera haath
dhoondata hoonjo dulaar ki de thapki
wo aabhaas doondata hoon
is mudmast
shaam mein mai
meri maa
dhoondata hoonhar din aur shaam mein mai
meri maa hee dhoondata hoon
that's amazing GJ :)
ReplyDeleteAwesome... Keep writing :)
ReplyDelete