Zeus (Inspired by friend's dog, who had to be dropped at a common friend's place for few hours)





Mein akela is bheerh mein           
tera ehsaas dhoondata hoon
is mudmast shaam mein mai
meri maa dhoondata hoon

is bheerh se nahi anjaan
sabhi to hein azeez tere
mein maanoon ya na maanoon
samajhta hoon, wo bhi hein mere

par tu jo hai
wo toohi ho sakti hai
mein jo na chahoon bhi
tujhpe hi aas atki hai

tere azeezon ke kadmon mein
teri aahath dhoondata hoon
is mudmast shaam mein mai
meri maa dhoondata hoon

kya naraaz thi tu mujhse?
jo chorh gaee akela
kya wajah rahi hogi
aakhir, khushi ki hai bela

shaayad na chahte bhi
jaana tujhe parhaa hai
aaegi jab bhi tu maa
tera das yoon hi kharha hai

is shor kautuhal mein
teri aawaz dhoondata hoon
is mudmast shaam mein mai
meri maa dhoondata hoon

darta hai dil ye mera
na kaheen tu bhool jae
ho raha aur andhera
gheren barhe dar ke saae

par jaanta hoon mein bhi
tu sab jaanti hai
mere bolne se Pehle
sab pehchaanti  hai

isee kashmakash mein
tera haath dhoondata hoon
jo dulaar ki de thapki
wo aabhaas doondata hoon

is mudmast shaam mein mai
meri maa dhoondata hoon
har din aur shaam mein mai
meri maa hee dhoondata hoon

Comments

Post a Comment