E : Dhairya ( My patience for my longing)



Ae Dhairya 
thorha aur thahar ja
abhi bahut door jaana hai
jo chah hai dabi simti
use us raah pahunchaana hai

Ae Dhairya
Tune bahut sambhala hai, sambhaala hai
vichlit man, sanyam se saadha hai
jo tu  na hota, mein " mein " na" hota
tune mujhe, "mujh" se baandha hai

Ae Dhairya
maine tujhe daanta hai, dapta hai
door dhakel aksar dhamkaaya hai
tune ek maa banker mujhe
apne aap mein apnaaya hai

Ae Dhairya
kabhi lagta hai, meri chaah hi galat hai
ek jhonka jo kahin ka nahi
idhar se udhar, khud ki khoj mein
kya maaloom, jaahan se shuroo, wo kosh hai sahi?

Ae Dhairya
zara aur gahar ja
mujhe "mujh" se mila de
mein khud ko saaf parh sakoon
man usi aor chala de

Ae Dhairya 
thorha aur thahar ja
abhi bahut door jaana hai
jo chah hai dabi simti
use us raah pahunchaana hai




Comments

Post a Comment