E: A cup of tea ( with someone close)

Teri ek pyaali chaaye
dilaate hai ehsaas
waqt ki raftaar ka
bhaagte se lamhon ke beech
kuch palon ke thehraav ka


Teri ek pyaali chaaye
sunaati hai kahaani
kabhi chalti, kabhi ruki see
Jeevan ki lambee daastaan
kuch kahi, kuch unkahi see


Teri ek pyaali chaaye
bhigaati hein palkein
yaad kar ke unhen, jo choot gae
wo kacche pakke rishton ke dhaage
kuch bane to kuch toot gae


Teri ek pyaali chaaye
lagaati hai marham
phir dikha bikhare wo kae sapne
jo the jab kuch na tha
kuch armaan, kuch wo, bahut apne


Teri ek pyaali chaaye
karti hai gugudi
yaadkar bachpan ki umang koi
wo gali muhalle ki sharaarat
phir jagaakar wo yaad soi


Teri ek pyaali chaaye
karti hai waada
phir nae shuruaat ka
beete waqt se nikal 
phir ubharte prabhaat ka


Teri ek pyaali chaaye
sikhaati hai mujhe
jeene ke gehre raz kabhi
chote palon se bani zindagi
bhar bator lo ye pal sabhi


Aaj ye ek pyaali chaaye
karaati hai aabhaas
tere laut jaane ka
un khatti meethe yaadon mein
kuch khone, bahut paane ka



Teri ek pyaali chaaye
dilaate hai ehsaas
waqt ki raftaar ka
bhaagte se lamhon ke beech
kuch palon ke thehraav ka

Comments

  1. Ive penned same poem
    in English text for those who cant read hindi but can understand

    ReplyDelete
  2. So very Well penned .... 👌🏼👌🏼

    ReplyDelete
  3. Ek pyaali Chai ka intezaar rahega, jab aap aur hum fir baitengay saat aur phir jiyengay zindagi ke woh pal, woh beetein huwein lamhe...Waqt Ki raftaar Ko rok lengay, phir zindagi hogi Gulzar, humare Dosti ke Naam hogi woh Shyam :)

    ReplyDelete

Post a Comment